yay dagh dagh ujala, yay shab gazeeda seher
wo intazar tha jiss ka, yay wo seher tou nahi
yay wo seher tou nai, jis ki arzoo lay kar ,chalay thay yar k mil jayay gee kaheen na kaheen , falak k dasht may taroon ki akhiri manzil
kaheen tou ho ga shabay sust moj ka sahil
kaheen tou ja k rukay ga safina- e- ghamay dil
jawan lahoo ki purisrar shahrahoon say, chalay wo yar tou daman pay kitnay haat paday
diyar husn ki bay sabar khuwab khahoon say, pukarti rahii, bahein ,badan bulatay rahay , bohut aziz tha lakin rukhay saber ki lagan, bohut qaree tha hisinain noor ka daman, subut subut thi tamana, dabi dabi thi thakan
suna hay ho bee chuka hay qararay zulmat -e- noor
suna hay ho bee chuka hay wasaly- e -mizil -o- gaam
badal chuka buhut ahalay dard ka dastur
nishat e wasal halal- o- azab e hijr haram
jigar ki aag , nazr ki umang, dil ki jalun, kissi pay chara e hijran ka kuch asar hee nai
kahan say ayyi nigar e sabah kidar ko gayii , abi chrag e sarah rah ko kuch khabar hee nai
abii giranii- e- shab may kami nai ayyi
nijat-o-dida- o- dil ki abbi gadii nai ayyi
chalay chal k, wo manzil abii nai ayyi.
No comments:
Post a Comment